Khushboo ko phool tasveer ko chehra samajhta tha
Tumhare do ghadi ke saath ko duniya samajhta tha
Dikha tha bheed main mujhko tamashabeno ki tarah
Ek wo chehra jise main apna samajhta tha
Ehsaas mein zakhm khata raha, muskurata raha
Dusron ke pyar par apna haq samajhta tha
Haan sach hai tere liye main umr bhar rota raha
Lekin mujhe shayad koi pana samajhta tha
Dard ko dard hi ke ehsaas se mara gaya
Aakhir wo zakhm bhi bhara jise main gehra samajhta tha
Aisaa lagataa hai zindagi tum ho
Ajanabi jaise ajanabi tum ho
Ab koi aarzu nahin baaki
Justuju merii aakhri tum ho
Main zamin par ghana andheraa hun
Aasamaanon ki chaandni tum ho
Doston se vafaa ki ummiden
Kis zamaane ke aadami tum ho
Koi hum-nafs nahi hai koi razdaa nahi hai
Faqt ek dil tha apna so wo meherbaan nahi hai
Marne ka tere gum mein iraada bhi nahi hai
Hai ishq magar itna zyaada bhi nahi hai
Itni patharoon par chal kar aa sako to aa jao
Mere ghar ke raaste kehkashaa nahi hai
Kyon dekhte rehte hai sitaron ki taraf hum
Jab un se mulaqaat ka koi wada bhi nahi hai
Aap ko bhul jaayein hum itne to bewafaa nahi
Aap se kyaa gilaa karein aap se kuch gilaa nahi
Shishaa-e-dil ko todna unka to ek khel hai
Humse hi bhul ho gayi unki koi khata nahi
Kaash wo apne gum mujhe de dein to kuch sukun mile
Wo kitna badnaseeb hai gum hi jise milaa nahi
Karnaa hai agar wafaa to kya kaise wafaa ko chhod du
Kehte hain is gunaah ki hoti koi sazaa nahi
Saakiya aaj mujhe neend nahi aayegi
Suna hai teri mehfil mein ratjagaa hai
Aankhon hi aankhon mein raat gujar jaayegi
Suna hai teri mehfil mein ratjagaa hai
Saaki hai aur shaam bhi ulfat ka jaam bhi
Taqdeer hai usi ki jo le inse kaam bhi
Rang-e-mehfil hai raat bhar ke liye
Sochna kya abhi sehar ke liye
Tera jalwa ho teri surat ho
Aur kya chahiye nazar ke liye
Aaj surat teri beparda nazar aayegi
Mohabbat mein jo mit jaata hai wo kuch keh nahi sekta
Ye wo kucha jisme dil salamat nahi reh sakta
Kiski duniya yahan tabah nahi
Kaun hai jiske lav pe aah nahi
Uss pe dil zaroor aayega jiske bachne ki koi raah nahi
Zindagi aaj nazar milte hi lutt jaayegi
Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahin
Daba daba sa sahee dil mein pyaar hai ke nahin
Tu apne dil ki jawaan dhadkanon ko gin ke bata
Meri tarah tera dil beqaraar hai ke nahin
Wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hoti hai
Us ek pal ka tujhe intezaar hai ke nahin
Teri umeed pe thukraa raha hoon duniya ko
TuJhe bhee apne pe ye aitbaar hai ke nahin
Rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai
Pehchaan jisse nahi thee kabhi
Apna bana hain wahi ajnabi
Rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai
Tumhe dekhte hee rahoon main hamesha
Mere saamne yoon hee baithe raho tum
Karoon dil ki baatein main khaamoshiyon se
Aur apne labon se na kuch bhee kaho tum
Ye rishta hai kaisa, ye naata hai kaisa
Tere tan ki khushboo bhee lagti hai apni
Ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai
Tere dil ki dhadkan bhee lagti hai apni
Tumhe paake mehsoos hota hai aise
Ke jaise kabhi hum judaa hee nahin the
Ye maana ke jismon ke ghar to naye hain
Magar hai puraane ye bandhan dilon ke
Mere dil mein tu hi tu hai dil ki dawa kya karoon
Dil bhi tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fidaa kya karoon
Khud ko khoke tujhko paakar kya kya mila kya kahoon
Teri hoke jeene mein kya aaya maza kya kahoon
Kaise din hain kaisee raatein kaisi fizaa kya kahoon
Meri hoke tune mujhko kya kya diyaa kya kahoon
Meri pehloo mein jab tu hai phir main dua kya karoon
Dil bhi tu hai jaan bhee tu hai tujhpe fidaa kya karoon
Hai ye duniya dil ki duniya milke rahenge yahaan
Lootenge hum khushiyaan har pal dukh na sahenge yahaan
Armaano ke chanchal dhaare aise bahenge yahaan
Ye to sapno ki jannat hai sab hi kahenge yahaan
Ye duniya mere dil mein basi hai dil se juda kya karoon
Dil bhi tu hai jaan bhee tu hai tujhpe fidaa kya karoon